Font kya hai !
Fonts Ko aasan bhasa me bole to likhne ka design. Jaise cursive writing kuch waisa hi bol sakte hai bahut se user Apne phone me font change karna Chahte hai pr wo kr nhi paate kyuki unko pta nhi hoti aapne phone ka fonts kaise change kare. Main iss article aapko bataunga ki aap Apne Xiaomi ke phones me font kaise change kar skte hai..
Kya font change karne ke liye koi aur application ka use karna hoga
Nhi.. bilkul bhi ab Xiaomi Apne theme aap me hi fonts ka option deti hai to aapko fonts change karne ke liye kisi aur app ka use nhi karna padega aap Apne default theme app se fonts Ko change kr payenge..
Kya font change karne ka koi nuksan hai !!
Nhi.. fonts change karne ka koi nuksan nhi kyuki fonts phone ka ek feature hai aur ye default theme app me diya gya so aapko Apne phone root nhi karna hoge sidhe themes aap me jaake kr payenge
Fonts change karne ka process !!
- Fonts change karne ke liye Apne theme app open kare
- Phir aapko niche T likha icon dikhega uspe click kare
- Phir aapko bahut se fonts dikhenge kisi ek Ko choose kare
- Niche scroll karne pe aapko Download for free ka option dekhega us pe click kare
- Download complete hone ke Baad apply ka option dikhega uspe click karne ke Baad aapke phone ka fonts change ho jayega
Comments
Post a Comment